Saturday, 14 December 2013
Sunday, 1 December 2013
sawal: Azan se qabal Darood ka saboot quran aur hadis se dain
as salamu alaikum,mera sawal
azan se qabal darood ka saboot quran aur hadis se.
_______________________________________________
answer
Quran-e-Paak aur Ahadees-e-Mubarika main kasrat k sath durood perhny ka hukm hai, siwai nijasat ki jaga k illawa uthtey beithy chaltey phirty durood shareef perha jai tou es main koi muman'at nahi hai. Durood-e-Paak jis qadr aur jitni ziada jagaoon aur mawaqon per perha jai itna he ziada acha hai, eshe liay ahl-e-sunnat wal jama'at k haan durood-e-paak ki kasrat ki jaati hai.Azaan Sey Pehly Durood:Yeh baat yaad rukhiyay k azaan sey pehly durood-e-paak perhny per bohat sey ulama ka ijma hai, aur Hadees-e-Pak hai k :"Beyshak ALLAH meri ummat ko gumrahi per jama nahi fermai ga".(Mishkaat Shareef, Page:30)Aur jiss kaam ko musalman acha sumjhaian jo ALLAH k nazdeek bhi acha hai.(Kitaab-al-ma'aat, Page:129)History dekhain tou pata lagta hai k sub sey pehly Salaud Deen Ayubi رحمت اللہ علیہ jo Fatah-e-Makka aur Aashiq-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم k ilqabaat sey jaaney jaty hain, inho ney 589 Hijri main apney door-e-hakoomat main Azaan sey pehly Durood perhny ka hukm jaari kia, aur es k bawajood k sultan mosoof bazaat-e-KHUD aalim faazil they, itney saalon main kisi bhi buzurg ney un k es kaam per tanqeed nahi ki bal k un k kaam ko saraha aur apni duaoon sey nawaza.Imam Muhammad Bin Abdul Rehman Sakhawi 902 Hijri k jaleel-ur-Qadr IMAM hain aur Hafiz Ibn-e-Hajr Askalani jo Sahi Bukhari ki mashoor SHARAH likhny waly hain in k shagird hain, yeh fermaty hain k Azaan sey pehly durood shareef perhey sey pehly yeh biddat raij ho chuki thi k loog apny khalifa per salam bheja kerty they, Salaud deen Ayubi ney es buri biddat ko khatam ker k azaan sey pehly durood shareef ko raij kia aur es k MUSTAHAB honey ki daleel nus-e-QURANI sey sabit hai, ALLAH fermata hai "Pus neik kaam karo"(Sura Anbiya, Para:17, Ayat:17), tou pus azaan sey pehly durood perhna aik achi bidat hai jis per ajr-o-sawab hai.(Aqwal-al-badeei, Page:192)
Pehli baat tou yeh k Durood shareef kisi bhi waqt perhna jaiz hai, chahy azaan sey pehly perhain ya baad main, eska zikr Quran-e-kareem main bhi hai.(Sura Ahzaab, Verse:56)Ahadees main aata hai:-AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:"Jub tum moazain sey azaan suno tou wo kalimaat dohrao jo wo keh raha hai, aur es k baad MUJH per durood-o-salam perho, aur mery waseely sey dua mango".(Mishkaat Shareef, Page:64)-Hazrat Ibn-e-Abbas رضی الله عنہ ney sura ahzab ki ayat-e-durood ki tafseer es terha sey ki:"Aur her maqaam per durood perho".(Jila-ul-Ifhaan, Page:252)-Arwa Bin Zubair ney bani-e-najr ki aik aurat sey riwayat ki k:"Mera gher MASJID-e-Nabwi k gird taweel tareen hai, Hazrat Bilal رضی الله عنہ mery gher ki chhat per azaan deity, pehly dua karty, durood perhty aur phir Azaan kehty".(Sanan Abi Daood, V:1, Page:77)
Azaan sey Pehly Durood Shareef perhny ko kin kin ulma-e-karaam ney jaiz likha:Es ummat key 4 barey muhadiseen jin ko tamaam ummat manti hai unhon ney azaan sey kabal DAROOD O SALAM jaiz likh:-Hazrat Imam Shurani رحمت اللہ علیہ ny apni tasanef Kashaf al Gama main.-Hazrat Imam Hajar Shafai رحمت اللہ علیہ nay apnay Fatawa Kubra main.-Imam Mula Ali Qari Alehay رحمت اللہ علیہ Mishkao Shareef ki sharah, Sharah Mirkat main.-Hazrat Imam Shami رحمت اللہ علیہ nay Fatawa Shami main azaan sey pehlay aur azaan key bad, ikamat sy pehlay Darood o Salam parhney ko jaiz likha.
واللہ تعالی اعلم ورسولہ اعلم عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم
جزاك الله خيرا
Subscribe to:
Posts (Atom)